TOP 5 FIGHTING GAMES FOR ANDROID 2018

Hello Dosto Aaj hum baat karege fighting games ke baare me, Play store par jyadatar jitne bhi fighting games hai wo free hai. Lekin ab hum aapko Top 5 games ke baare me btayege jo ki kaafi logo ne pasand ki hai or unn games ki rating bhi kafi achi hai.

Shadow Fight 3 : Dosto iss game ke liye hume kaafi intzaar karna pada tha, lekin ab ye play store pe launch ho chuka hai, Or iss game kaa size 672Mb hai. Shadow fight 2 ke hit hone ke baad iss game kaa trailer aa geya tha lekin game kaafi der baad launch hua. Iss game me aapko 3d characters milte hai or game me aapko kaafi ache weapon bhi milte hai. to main bas yahi kahuga ki iss game ko abhi download karlo or aap khud khel ke btayo ki aapko ye game kaisa laga.
Shadow fight 3 : Click

WWE Mayhem : Iss game kaa Trailer launch hote hi log iss game kaa besabri se intzaar kar rahe the or ye game bhi ab play store pe launch ho chuka hai. Agar aap wwe dhekte ho to aapko ye game kaafi pasand aayega. Iss game kaa size 278Mb hai, jo ki kaafi kam hai, itne kam mb me aapko aik shaandar Graphics wala game mil jaata hai, to aap iss game ko bhi jrur download kare. Mujhe umeed hai aap ko ye game bhi kaafi pasand aayega.
WWE Mayhem : Click 

Mortal Kombat x : Dosto abhi tak jitne bhi fighting games android phone ke liye launch ho chuke hai un me ye sab se best game hai. Agar aap eik high level pc game khelte ho to iss game me bhi aapko waise hi graphics or game play milega. Mujhe bhi sab se jyada yahi game pasand hai. Or main iss game kaafi jyad khelta hoon, Bakki jab aap khud iss game ko kheloge to aap samaj jaoge ki main iss game ko sab se best fighting game kyo keh raha hoon. To aap iss game ko bhi jrur download kare. lekin iss game kaa size 1.6gb hai, jo ki kaafi jyada hai lekin game bhi utna hi acha hai.
Modern Combat x : Click

Injustice 2 : Dosto agar Modern Combat x ke baad kisi game kaa naam aata hai to wo Injustice 2 hai, Ye game pc me or playstation me bhi launch ho chuke hai. To ussi ko dhyaan me rakh ke jab ye game android me launch hota hai to iske graphics or game play kaa khaas dhyaan rakha jaata hai, taaki Mobile gaming wale bhi iss game ko pasand kare. Iss game kaa size 1.3gb hai, ye bhi kaafi jyada hai lekin game khelne ke baad aap iss size ko bhul jaoge. Toa aap iss game ko bhi jrur try kare. 
Injustice 2 : Click

Marvel Future Fight : Dosto agar aap marvel ki movies dekhna psand karte ho to aap ko ye game kaafi psand aayega, Iss game me aap ko Marvel ke sabhi super hero mil jaege. Or iska gameplay bhi kaafi acha hai. Play store par iss game kaa size 77Mb hai, lekin isse install karne ke baad game andar se bhi kuch data download karega, or uske baad aapka game  start ho jaega. 
Marvel Future Fight : Click

Thanks for Reading. 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Manually Install a WordPress Plugin?

CS:GO tips: Counter-Strike: Global Offensive guide 2020

How to Install and Activate WordPress Plugins in 3 Easy Steps